Khudgarz

Tumhari bikhre laton main,
dhundhta hoon main vo ehsaas.
Ehsaas jo mujhe horaha hai,
tumhe bhi toh horaha hoga na?
Tum saath ho ya na ho,
pyaar toh karti ho na?
Mujhe bas yeh janna hai,
tum saath toh rahogi na?
meri inn gustakhiyo ko maaf karo
dil mera khudgarz bana baitha hai.
.
Uss sadak par aaj bhi chalta hoon,
tumhara haath mere haatho main.
hamari nazar ulajte-ulajte,
bangayi hamare pyaar ki ye reshmi dore.
Par ab na tum ho,
na hoon main.
bas itna batana tha,
ki main ab “hum” ko nahi dhoondh raha.
meri inn gustakhiyo ko maaf karo,
dil mera khudgarz bana baitha hai.
.
Ab toh bas yeh baarishein,
batati hai mera haal.
Kya chal raha hai mere dil main,
ye toh amavas ka chand hi bata sakta.
Kaafiro ke aasman main,
mujhe tumhare saath udna tha.
Batana tha inn kaafiro ko ki,
pyaar kisi mazhab ki jaagir nahi.
Ab toh main bas ye chahta hoon,
ki tum khush raho, salamat raho.
meri inn gustakhiyo ko maaf karo,
dil mera khudgarz bana baitha hai.

2 thoughts on “Khudgarz

Leave a comment